< Hindi
logon say milnA-julnA
vAkya abhyAs
- hAn. - yes
- nahin. - no
- kripayA.-please
- dhanyavAd.-thankyou
- Apkee kripA hai. -All thanks to you (lit. because of you)
- mAf keejiyay.-i am sorry
- mujhe kshamA keejiyay. Forgive me.
- namastay.- hello (showing respect)
- kyA Ap angrayzee boltee hein? - Can you speak English?
- kyA yahAn koi angrayzee bolta hai? - Does anybody here can speak English?
- mein bas thoDee see hindi boltee hoon.
- ApkA nAm kyA hai? what is your name
- mayrA nAm neena hai.-my name is neena
- Ap kaisee hein?-how are you
- mein Theek hoon, dhanyavAd.- i am fine thankyou
- Ap say mil kar bahut khushee hui. - Nice to meet you. (lit. I was happy to meet you.)
- mein samjhee nahin.-i cannot understand
- Apnay kyA kahA? - What did you say? (respectfully)
- kyA Ap thoDa dheeray bol saktee hein?- Can you speak a little slowly?
- meinay bilkul Theek samajh liyA. -
logon say milnay-julnay kay liyay kucch sumvAd-vAkya
- shreemati rAjan: namastay. kyA Ap angrayzee bol saktay hein?
- dukAndAr: mAf keejiyay, mein angrayzee nahin bol saktA hoon.
- shreemati rAjan: mujhe khayd hai, mein bas thoDee see hee hindi boltee hoon.
- dukAndAr: koi bAt nahin.
- mein Apko samajh saktA hoon.
- rohan: namastay.
- seeta: namastay, kyA Ap mayray dost rakaysh say milayn hein?
- rohan: nahin, mujhe pehlay kabhi insay milnay kA avsar nahin milA hai.
- seeta: rakaysh, rohan sinhA say milo.
- rohan: Apsay milkar bahut khushee hui.
hoTal mayn
vAkya abhyAs
- mein gusalkhanay sahit Dabal kamrA chAhtA hoon.
- hamay alag-alag do palang chAhiyay.
- gusalkhAnA kahAn hai?
- meinay rizarvayshan kiyA hai.
- meinay rizarvayshan pichhlay haftay kiyA thA.
- kyA mayrA rizarvayshan Apkay pAs nahin hai?
- Apkay rayT kyA hein?
- ayk rAt kay liyay kitnay paisay lagayngay?
- kyA ismayn baksheesh shAmil hai?
- chayk-in kA samay kyA hai?
- kamrA kis samay tak chhoD daynA hogA?
- kyA mein iss kraydiT cArD kA prayog kar saktA hoon?
- mein Traivalars chayk say bil chukAnA chAhtA hoon.
- kyA mujhe mayri chAbi mil sakti hai?
- mayray kapDay aur mayray pati kay sooT ko istri ki zaroorat hai.
- kyA Ap mujhe kal subeh ATh bajay jagA saktay hein?
hoTal kay liyay kuchh samvAd-vAkya
- shreemati divyA: namastay, kyA Apkay yahAn koi singal kamrA khAli hai?
- lAbi daysk karmchAri: namastay. Ap kitnay din Thaharayngi?
- shreemati divyA: do haftay kay liyay.
- lAbi daysk karmchAri: hAn, hamAray pAs ayk bahut baDhiyA singal kamrA hai.
- shreemati divyA: aur kamray kA rayT kyA hai?
- lAbi daysk karmchAri: kamray kA pratidin rayT hai pAnch sau pachAs rupiyay.
- shreemati divyA: toh mein kamrA lay loongi.
- shri sahAya: namastay, mayrA nAm sahAya hai. mayray nAm say Apkay pAs ayk kamrA honA chAhiyay.
- lAbi daysk karmchAri: Apnay rizarvayshan kab kiyA thA?
- shri sahAya: meinay kal taylifon say rizarvayshan kiyA thA.
- lAbi daysk karmchAri: hAn, hAn, yeh hua na. gusalkhanay sahit ayk Dabal kamrA.
- shri sahAya: jee hAn. das din kay liyay.
baink jAnA
vAkya abhyAs
- kyA mein yahAn paisay badal sakti hoon?
- mein sirf ayk sau dAlar badlee karnA chAhti hoon.
- badlee kA rayT kyA hai?
- mein kuchh Traivalars chayks bhunAnA chAhti hoon.
- yeh hai merA pAsporT.
- mayray pAs antarrAshTriya drAiving laisayns hai.
- mayray sAray Traivalars chayks kay sAth mayrA baTua kho gayA.
- mein Traivalars chayks khareednA chAhti hoon.
- baink kis samay say kis samay tak khulA rehtA hai?
- Apki ay.Tee.aym masheen kahAn hai?
- madad kay liyay bahut dhanyavAd.
- hAn, ab sab kuchh Theek ho gayA.
baink kay liyay kuchh samvAd vAkya
- shri chopDa: namastay. mein kucch amreeki dAlars ko bhAratiya rupiyay mayn badalnA chAhtA hoon.
- baink karmchAri: ji hAn, kyon nahin, Ap kitnay paisay badalnA chAhtay hein?
- shri chopDa: mayray pAs dayDh sau amreeki dAlars hein. Aj badlee kA rayT kyA hai?
- baink karmchAri: ayk dAlar kay liyay Apko bayAlis rupiyay milayngay.
- shreemati banarji: namastay, kyA Ap mayri madad kar sakti hein?
- baink karmchAri: jee hAn, kyA bAt hai?
- shreemati banarji: jee, meinay apnay Traivalars chayks kho diyay.
- baink karmchAri: kyA yeh chori ho gayay?
- shreemati banarji: nahin, mujhe lagtA hai ki Aj subeh jab mein bAzAr kar rahi thi tab meinay hee inhay kho diyay.
TikaT khareedna
vAkya abhyAs
- mein udAn sankhyA chAr sau bayAnvay par apni seeT kanfarm karnA chAhtA hoon.
- mein apnay TikaT kay bAray mayn kuchh poochhnA chAhtA hoon.
- udAn sankhyA chAr sau bayAnvay kay liyay mayray TikaT kyA Apkay pAs hein?
- kyA Apkay pAs mayrA seeT nambar hai?
- mein dehli kay liyay ayk TikaT khareednA chAhtA hoon.
- TikaT kA kyA dAm hai?
- dehli kay liyay agli raylgADi kab chalaygi?
- gADi kiss samay Ayaygi?
- gayT nambar teen kahAn hai?
- mayray pAs aisA kuchh nahin hai jissay dikhAnay ki zaroorat hai.
- dikhAnay kay liyay mayray pAs bas yahi cheezayn hein.
- kyA yeh uDAn binA kahin rukay jAyaygi?
- kyA hum Theek samay say chal rahay hein?
- vimAn kab utaraygA?
- kyA hum dayr say pahunch rahay hein?
TikaT khareednay kay liyay kuchh samvAd vAkya
- shreemati rAju: dehli ki agli uDAn kay liyay mein TikaT khareednA chAhti hoon.
- TikaT ayjanT: ikAnomi yA pratham shrayni?
- shreemati rAju: ikAnomi, kripayA. kyA mujhe khiDki vAli seeT mil sakti hai?
- TikaT ayjanT: mAf keejiyay, khiDki kay bagal vAli sAri seeTayn khatam hain, magar mein Apko ayle vAli seeT day saktA hoon.
- shreemati rAju: bahut bahut dhanyavAd.
- shreemati singh: mujhe amritsar kay liyay do TikaT chAhiyay.
- TikaT baychnay vAlA: kursi yA sonay kA barth?
- shreemati singh: kripayA, sonay kA barth.
- TikaT baychnay vAlA: iss stayshan say gADi Theek pAnch bajay ravAnA hogi.
rAstA, samay poochhnA
vAkya abhyAs
- seedhay chaltay rahayn.
- issee rAstay par chaltay rahayn.
- sheher kay beechobeech seedhay chaltay rahayn.
- beech sheher jAyayn.
- bAyayn muDayn.
- dAhinay muDayn.
- baink kay sAmnay.
- baink kay bagal mayn.
- doosri or.
- door nahin.
- ayk gali Agay.
- konay par muD kar.
- bas Ap pahunch hee gayay.
- sankayton ko paDhtay rahayn.
- yeh ayk-tarafA rAstA hai.
- kitnA bajA hai?
- din kay bArah bajay hein.
- rAt kay bArah bajay hein.
- subeh kay do bajay hein.
- dopeher kay teen bajay hein.
- DhAi bajay hein.
- paunay nau bajay hein.
rAstA, samay poochhnay kay liyay kuchh samvAd vAkya
- shri goyal: mAf keejiyay, mein kho gayA hoon.
- aurat: Apko kahAn jAnA hai?
- shri goyal: mein lAl quilA jAnA chAhtA hoon.
- aurat: aglay chaurAhay par dAhinay muD jAyayn.
- jyotsanA: kitnA bajA hai?
- rAni: abhi din kay bArah bajay hein.
- jyotsanA: achhA? mujhe lagA ki abhi toh sADhay gyArah hee bajay hein.
- rAni: tumhAri ghaDi dheeray chal rahi hai.
- kArtik: film kitnay bajay shuru hogi?
- rAhul: kareeb sADhay ATh bajay.
- kArtik: kahin hamay dayr na ho jAyay. hamay yahAn say paunay ATh bajay tak nikal jAna chAhiyay.
- rAhul: mayray khyAl say sADhay sAt bajay nikalnA bayhtar hogA.
ResTarAn
vAkya abhyAs
- kyA mujhe maynu mil saktA hai?
- Aj khAs khAnA kyA banA hai?
- Ap kis cheez ki sifArish karayngay?
- mujhe yeh pasand nahin hai.
- Yeh kuchh zyAdA hee ThanDA hai.
- Yeh kuchh zyAdA hee garam hai.
- mayri rassay vAli murgi teekhi honi chAhiyay.
- mayri rassay vAli murgi kam teekhi honi chAhiyay.
- meinay yeh nahin mangAyA thA.
- vayTar! bairA!
- mujhe peenay kay liyay kyA mil saktA hai?
- mujhe ayk gilAs neebu-pAni chAhiyay.
- mujhe ayk gilAs lassi chAhiyay.
- mujhe yahAn kA tAj-Mahal biyar mil saktA hai?
- mujhe ayk viski aur soDA chAhiyay.
- kyA hamayn bil mil saktA hai?
- kyA bil mein baksheesh shAmil hai?
- mein apnay kraydiT kArD say bil chukAnA chAhtA hoon.
गिनती
Numerals | English | हिंदी |
---|---|---|
1 | ek | एक |
2 | do | दो |
3 | theen | तीन |
4 | chaar | चार |
5 | paanch | पांच |
6 | cheh | छह |
7 | saath | सात |
8 | aath | आठ |
9 | nau | नौ |
10 | das | दस |
Example | gyarah | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
Example | Example | Example |
resTarAn kay liyay kuchh samvAd vAkya
- vayTar: kyA mein Apki madad kar saktA hoon?
- shri avinAsh: mein tandoori murgi daykh rahA hoon. yeh kyA hai?
- vayTar: iss murgi ko miTTi kay choolhay mayn pakAyA gayA hai.
- shri avinAsh: bahut khoob. mein yahi loongA.
- vayTar: kyA issay pehlay Ap kuchh peenA chAhayngay?
- shri avinAsh: jee hAn, bAdAm kA sharbat.
- shri rAo: Apki kyA sifArish hai?
- vayTar: Aj kA khAs pakvAn mughalai kormA hai.
- shri rAo: bahut achchhay. issay kaisay banAyA jAtA hai?
- vayTar: gosht dahi kay sAth yA malAi kay sAth bhunA jAtA hai.
- shri rAo: mujhe toh malAi pasand hai.
- shreemati rAo: mAf keejiyay.
- Admi: jee hAn?
- shreemati rAo: kyA iss ilAkay mayn khAnay ki koi achchhi jagah mujhe batA saktay hein?
- Admi: hAn... Ap "moti mahal" jA sakti hein.
- shreemati rAo: yeh kahAn hai?
- Admi: Iss saDak par Agay jAyayn. Trayfik lAit par dAhinay muD jAyayn aur phir kuchh Agay baDhayn, hoTal bAyin taraf hogA.
==sankhyA== गिनती
- shoonya शून्य
- ayk एक
- do दो
- teen तीन
- chAr चार
*pAnch पांच
- chheh
- sAt
- ATh
- nau
- das
- gyArah
- bArah
- tayrah
- chaudah
- pandrah
- solah
- satrah
- aThArah
- unnees
- bees
- ikkees
- bAayis
- tees
- chAlis
- pachAs
- sATh
- sattar
- assi
- nabbeh
- sau
Month (maheenay)
Pronunciation in Hindi is very similar to that in English.
Hindi | English | Romanization |
---|---|---|
जनवरी | January | jaNvarī |
फरवरी | February | pharvarī |
मार्च | March | maarc |
अप्रैल | April | Aprail |
मई | May | maī |
जून | June | jūN |
जुलाई | July | julā'ī |
अगस्त | August | agast |
सितंबर | September | SiTambar |
अक्टूबर | October | akTūbar |
नवम्बर | November | Navambar |
दिसंबर | December | diSambar |
Days of week (Saptaha kay din)
In Hindi days start from Monday.
Hindi | English | Romanization |
---|---|---|
सोमवार | Monday | Sōmvār |
मंगलवार | Tuesday | mangaLvār |
बुधवार | Wednesday | buDHvār |
गुरुवार | Thursday | guruvār |
शुक्रवार | Friday | sukravār |
शनिवार | Saturday | saNivār |
रविवार | Sunday | ravivār |
Seasons (mausam)
Hindi | English | Pronunciation |
---|---|---|
सर्दी | winter | Sardī |
गर्मी/ग्रीष्म | summer | Garmī/Grīṣma |
वसंत | spring | vasant |
वर्षाऋतु | rainy season | Varṣhā'r̥itu |
This article is issued from Wikibooks. The text is licensed under Creative Commons - Attribution - Sharealike. Additional terms may apply for the media files.